hum ki tajdid-e-ahd-e-wafa kar chale aabru-e-junun kuchh siwa kar chale
KHud to jaise kaTi zindagi kaT li han nae daur ki ibtida kar chale
zard suraj ki mashal bhi kajla gai chand taron ko bhi nind si aa gai
ab kisi ko agar raushni chahiye apni palkon pe shamen jala kar chale
haal apna har ek se chhupate rahe zaKHm khate rahe muskuraate rahe
teri tashhir hum ne gawara na ki dard-e-dil hum tera haq ada kar chale
lakh ilzam par hum ko ilzam do aur tar-damani ke fasane kaho
tum mein aisa bhi koi to ho dosto do-qadam hi sahi sar uTha kar chale
choT jo bhi paDi Thik dil par paDi us pe bhi hum ne tark-e-talab to na ki
hum to miT ke bhi ai gardish-e-asman tere shane se shana mila kar chale
Ghazal
Hum ki tajdid-e-ahd-e-wafa kar chale aabru-e-junun kuchh siwa kar chale
Murtaza Birlas