hum ki majnun ko dua kahte hain
ru-e-laila ko saba kahte hain
kitni afsurda hai ye sham-e-bahaar
jis ko hum taza hawa kahte hain
apni aankhon mein na jaane kab ka
KHwab hai jis ko KHuda kahte hain
phul mein us ka lahu bahta hai
chand ko us ki qaba kahte hain
unhi KHuban ki hatheli pe raho
is liye tum ko hina kahte hain
hum wo paband-e-wafa hain ki tujhe
ab bhi be-mehr-o-wafa kahte hain
sher kahte hain ghazal ke yani
KHwab ko KHwab-numa kahte hain
Ghazal
Hum ki majnun ko dua kahte hain
Qamar Jameel