hum ki afkar ko tajsim kiya karte hain
harf-o-alfaz ki tahrim kiya karte hain
band kar lete hain aawara hawa muTThi mein
phir faza mein use taqsim kiya karte hain
waqt jab hath nahin aata to roz-o-shab mein
intiqaman use taqwim kiya karte hain
kab sitara koi mathe ki shikan mein utra
sab fusun sahab-e-tanjim kiya karte hain
hum ko ilzam na dije koi 'shakir'-kunDan
hum to nisbat ki bhi takrim kiya karte hain
Ghazal
Hum ki afkar ko tajsim kiya karte hain
Shakir Kundan