hum KHudai ka dawa to karte nahin
bandagi par bhi pure utarte nahin
yun to qaem hain iman pe apne magar
dil ke wahm-o-guman se mukarte nahin
juzw-e-haq hain nahin hum kisi ke mutia
KHud pe nazan hain baatil se Darte nahin
apni KHud-e'timadi ka aalam hai ye
TuT jaane pe bhi hum bikharte nahin
dil mein jab tak na ho ek kasak dard ki
aadamiyyat ke jauhar nikharte nahin
hai na duniya hi apni na apna KHuda
be-kasi ke ye din ab guzarte nahin
Ghazal
Hum KHudai ka dawa to karte nahin
Khwaja Mahmood-ul-Hasan