hum KHizan ki agar KHabar rakhte
aashiyane mein phul bhar rakhte
hum agar ishq mein asar rakhte
amradon ko ghulam kar rakhte
mere dil ko samajhte arsh-e-barin
ye sitare agar nazar rakhte
kya KHabar thi ki dam hai wo zulf
hum bhi faulad ka jigar rakhte
sath rang-e-chaman ke uD jate
aaj hum bhi jo baal-o-par rakhte
rah deta jo us ke aane ki
zagh ke aage hum jigar rakhte
yar ki donon aankhen qatil thin
ek nazar hum kidhar kidhar rakhte
bhed apna diya na us dil ne
hum bhi kuchh apni fikr kar rakhte
yahi shikwa hai be-wafaon se
hum na marte jo ye KHabar rakhte
sang-e-dil tujh ko jaante hum agar
sabr ki sil kaleje par rakhte
gundhte wo khajur se juTe aaj
hath apne jo kuchh hunar rakhte
aankhen ro ro ke kyun sajate ho
'bahr' aansu nahin asar rakhte
Ghazal
Hum KHizan ki agar KHabar rakhte
Imdad Ali Bahr