hum KHarabe mein basar kar gae KHamoshi se
halqa-e-mauj mein gauhar gae KHamoshi se
saat-e-wasl qayamat ki ghaDi Thahri thi
jism KHamosh the dil Dar gae KHamoshi se
aazmaish thi kaDi ku-e-wafa mein ki jahan
kaj-kulah aae subuk-sar gae KHamoshi se
hum tere hijr mein aawara-suKHan ho nikle
zaKHm jo tu ne diye bhar gae KHamoshi se
shikwa-sanj-e-gham-e-manzil the faqat hum warna
karwan kitne safar kar gae KHamoshi se
ku-e-mahbub ki shamon ko KHabar hai ki nahin
sae kis samt barabar gae KHamoshi se
dukh ke sannaTe mein yaad aaenge tujh ko hum se
jo tere dar pe sada kar gae KHamoshi se
jaane zindan ke dar-o-baam ka andaz hai kya
nara-zan aae jo akasr gae KHamoshi se
kuchh to thi lauh-e-azal bais-e-barbaadi-e-dil
war ahbab bhi kuchh kar gae KHamoshi se
koi munim na mila dil ka ghani ya qismat
dar-ba-dar tere gadagar gae KHamoshi se

Ghazal
Hum KHarabe mein basar kar gae KHamoshi se
Shafqat Tanveer Mirza