اردو हिंदी
Hum khaDe hain hath yun bandhe hue | Shaahi Shayari
hum khaDe hain hath yun bandhe hue

Ghazal

Hum khaDe hain hath yun bandhe hue

Mohsin Asrar

;

hum khaDe hain hath yun bandhe hue
jaise tu ho rasta roke hue

kis tarah tai ho safar tanhai ka
dur tak hain aaine rakkhe hue

rasta pagDanDiyon mein baT gaya
ek musafir ke kai phere hue

log ruKHsat ho chuke bazar se
hum abhi tak hain dukan khole hue

sae mein aaindagi ka dukh nihan
dhup mein hain waqiye likkhe hue

chahta hun tere sapne dekhna
dekhta hun hadse hote hue

tanha apne samne baiTha hun main
aur mere hath hain phaile hue

jal rahe hain apni hi sochon se hum
apni hi dahliz mein baiThe hue

ho gain mujh ko sabhi bimariyan
dusre bimar tab achchhe hue

ghun to 'mohsin' jism ko lagna hi tha
ek muddat ho gai rakkhe hoe