اردو हिंदी
Hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain | Shaahi Shayari
hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain

Ghazal

Hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain

Ishaq Veerdag

;

hum KHak-ba-sar gard-e-safar DhunD rahe hain
aur log samajhte hain ki ghar DhunD rahe hain

diwanon ke manind mare shahr ke sab log
dastar ke qabil koi sar DhunD rahe hain

ab sham hai to shahr mein ganw ke parinde
rahne ke liye koi shajar DhunD rahe hain

jo dil ke nihan-KHanon mein rahta hai hamesha
ye log use aaj kidhar DhunD rahe hain

galiyon mein jo phirte hain ye manus se chehre
Dhalti hui tahzib ke ghar DhunD rahe hain

afsurda se chehron pe baDi der se hum log
ek khoya hua dast-e-hunar DhunD rahe hain