hum karen baat dalilon se to radd hoti hai
us ke honTon ki KHamoshi bhi sanad hoti hai
sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah
ab dhaDakte hue dil ki bhi lahad hoti hai
jis ki gardan mein hai phanda wahi insan baDa
suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai
shoabda-gar bhi pahante hain KHatibon ka libas
bolta jahl hai bad-nam KHirad hoti hai
kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-suKHan
zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai
Ghazal
Hum karen baat dalilon se to radd hoti hai
Muzaffar Warsi