ham-kalami mein dar-o-diwar se
kitne jazbe rah gae izhaar se
dhup baDhte hi juda ho jaega
saya-e-diwar bhi diwar se
hijr ka lamha mukammal ho gaya
raushni jab kaT gai minar se
TuT kar bikhre KHud apne sog mein
dil laga kar dard ke ruKHsar se
nim-wa galiyan chura kar lai hain
kaisa sapna dida-e-bedar se
kitne hi mayus lamhon ke bhanwar
hum ne nape zehn ke parkar se
umr bhar 'tariq' ulajhte hi rahe
jism ki girti hui diwar se
Ghazal
Ham-kalami mein dar-o-diwar se
Bahram Tariq