hum kahan azmat aslaf sambhaale hue hain
bas tere ishq se mathe ko ujale hue hain
qais o farhad tain apne hawale hue hain
yani hum masnad-e-ushshaq sambhaale hue hain
jab bhi palTe hain hamein haar dikhai di hai
hum ne sikke ye kai bar uchhaale hue hain
pyas lagti hai inhen dekh ke ai dasht-nashin
teri aankhen hain ya pani ke pyale hue hain
hum ne ek umr kitabon ke hawale ki hai
tab kahin ja ke kitabon ke hawale hue hain
aaina ban ke khaDe hain tere dar par chup-chap
kab tere samne hum bolne wale hue hain
sud baDhta gaya sanson ka hamare upar
hum mohabbat mein teri qarz se kale hue hain
main bhi phir baiTh gaya dekhne qissa kya hai
ret gili hai ya phir panw mein chhaale hue hain
Ghazal
Hum kahan azmat aslaf sambhaale hue hain
Mumtaz Gurmani