hum kahan aur dil-e-KHarab kahan
ai shab-e-gham tera jawab kahan
zindagi ke shuur se baDh kar
zindagi mein koi azab kahan
koi chehra ho ghaur se paDhiye
is se jamea koi kitab kahan
dard-o-gham ki udas aankhon mein
aarzu ke hasin KHwab kahan
aao apni sahar se puchh to len
chhoD aai hai aaftab kahan
ruh jab ho gai hai KHud ghayal
dil ke zaKHmon ka phir hisab kahan
dil dhaDakte hain ab magar dil mein
wo mahakte hue gulab kahan
kya pata waqt ke andheron mein
chhap gae fan ke mahtab kahan
waqt Thahra hua sa lagta hai
ruk gaya aa ke inqalab kahan
ai 'rais' aarzu ke chehre par
ab wo agli si aab-o-tab kahan
Ghazal
Hum kahan aur dil-e-KHarab kahan
Raees Akhtar