hum kabhi KHud se koi baat nahin kar pate
zindagi tujh se mulaqat nahin kar pate
baiTh jata hai jahan dard thaka-haara sa
KHwab bhi us se sawalat nahin kar pate
un se phir aur kisi shai ki tawaqqo kaisi
chand lamhe bhi jo KHairaat nahin kar pate
zindagi be-sar-o-saman hi guzar jati hai
din jo kar lete hain wo raat nahin kar pate
umr-bhar un ke muqaddar mein hain sukhe dariya
apni koshish se jo barsat nahin kar pate
sabr ki baat baDi shukr ke dariya gahre
lekin un se guzar auqat nahin kar pate
kabhi bhule se muqaddar jo hamein deta hai
suraKH-ru hum wahi lamhat nahin kar pate
ek na ek KHauf hamein rok liya karta hai
hum bayan Dubte jazbaat nahin kar pate
pas aate hain jahan apne irade 'usha'
hum kabhi un ki mudaraat nahin kar pate
Ghazal
Hum kabhi KHud se koi baat nahin kar pate
Usha Bhadoriya