hum kab us rah se guzarte hain
apni aawargi se Darte hain
kashtiyan Dub bhi to sakti hain
Dub kar bhi to par utarte hain
toD kar rishta-e-KHulus ahbab
aansuon ki tarah bikharte hain
apne ehsas ki kasauTi par
hum bhi pure kahan utarte hain
chahe kaisa hi daur aa jae
apne haalat kab sanwarte hain
sath par hain hubab ke KHeme
Dubne wale kab ubharte hain
ek haalat pe hum nahin rahte
jama hote hain phir bikharte hain
zindagi tere nam kar di thi
ab tera nam le ke marte hain
ranj o rahat ki kashmakash mein 'shakil'
umr ke qafile guzarte hain
Ghazal
Hum kab us rah se guzarte hain
Shakeel Gwaliari