اردو हिंदी
Hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane | Shaahi Shayari
hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane

Ghazal

Hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane

Waheed Akhtar

;

hum jo TuTe to gham-e-dahr ka paimana bane
KHak mein mil ke bhi KHak-e-rah-e-mai-KHana bane

kaun is bazm mein samjhega gham-e-dil ki zaban
baat chhoTi si jab afsana-dar-afsana bane

sang-andazon se uncha hai bahut apna maqam
warna mumkin tha nishana sar-e-diwana bane

shahr-e-jaanan se bhi hum lae mohabbat ka KHiraj
kya zaruri hai ki yan waz-e-gadayana bane

wahshat aamada-e-ruswai hai be-KHauf jahan
zabt ka hai ye taqaza ki tamasha na bane

zindagi hum tere itne to KHata-war na the
ki jise apna banaen wahi begana bane

ek tamanna koi aisa to baDa jurm na thi
aankh ta-marg chhalakta hua paimana bane

kya rifaqat hai yahi ai dil-e-ashufta-mizaj
dekh hum ek tere waste kya kya na bane

ajnabi lagte hain hum apni nazar ko KHud hi
aap apne se na itna koi begana bane

hum pe ek umr se tari hai KHamoshi aisi
ek naqshe pe simaT jae to afsana bane

ai mere hausla-e-gham hai yahi waqt-e-wafa
zahr hi hasil-e-sad-umr-e-tamanna na bane

zindagi karne ke andaz to bhulo na 'wahid'
tum ne kya sikha agar ishq saliqa na bane