hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha 
sab se uncha tha jo sar nok-e-sinan par dekha 
hum se mat puchh ki kab chand ubharta hai yahan 
hum ne suraj bhi tere shahr mein aa kar dekha 
aise lipTe hain dar-o-baam se ab ke jaise 
hadson ne baDi muddat mein mera ghar dekha 
ab ye socha hai ki auron ka kaha manenge 
apni aankhon pe bharosa to bahut kar dekha 
ek ek pal mein utarta raha sadiyon ka azab 
hijr ki raat guzari hai ki mahshar dekha 
mujh se mat puchh meri tishna-labi ke tewar 
ret chamki to ye samjho ki samundar dekha 
dukh hi aisa tha ki 'mohsin' hua gum-sum warna 
gham chhupa kar use hanste hue aksar dekha
        Ghazal
Hum jo pahunche sar-e-maqtal to ye manzar dekha
Mohsin Naqvi

