hum jo mast-e-sharab hote hain
zarre se aaftab hote hain
hai KHarabaat sohbat-e-waiz
log nahaq KHarab hote hain
kya kahen kaise roz o shab hum se
amal-e-na-sawab hote hain
baadshah hain gada, gada sultan
kuchh nae inqalab hote hain
hum jo karte hain mai-kade mein dua
ahl-e-masjid ko KHwab hote hain
wahi rah jate hain zabanon par
sher jo intiKHab hote hain
kahte hain mast rind-e-saudai
KHub hum ko KHitab hote hain
aansuon se 'amir' hain ruswa
aise laDke azab hote hain

Ghazal
Hum jo mast-e-sharab hote hain
Ameer Minai