hum jo din-raat ye itr-e-dil-o-jaan khinchte hain
nafa kam karte hain ai yar ziyan khinchte hain
sochne ke liye mauzu-e-suKHan koi nahin
subh se sham talak sirf dhuan khinchte hain
main ne muddat se koi sach bhi nahin bola hai
phir mujhe dar pe kyun ahl-e-jahan khinchte hain
ab bhi rahte hain bahut aise bahadur jo yahan
dudh pite hue bachchon pe kaman khinchte hain
wo musahib jo zaban kholte Darte the kabhi
ab wahi mere buzurgon ki zaban khinchte hain
mere qatil mujhe pahchan gae hain shayad
warna kyun jism se yun nok-e-sinan khinchte hain
rahguzaron ki hawa ka to main jaandada na tha
kyun meri nash ko galiyon mein yahan khinchte hain
Ghazal
Hum jo din-raat ye itr-e-dil-o-jaan khinchte hain
Wali Aasi