hum jhukate bhi kahan sar ko qaza se pahle
waqt ne di hai saza hum ko KHata se pahle
apni qismat mein kahan raqs-e-sharar ka manzar
sham-e-jaan bujh gai daman ki hawa se pahle
ye alag baat ki manzil ka nishan koi na tha
kohsar aur bhi the koh-e-nida se pahle
muddaa koi na tha tere siwa kya karte
dil dhaDakta hi raha harf-e-dua se pahle
ru-ba-ru us ke rahi aaina ban kar shahin
dekh le apni nazar jurm-e-jafa se pahle
is ki aankhon mein ajab sehr hai 'salma-shahin'
ho gai hun main shifayab dawa se pahle
Ghazal
Hum jhukate bhi kahan sar ko qaza se pahle
Salma shaheen