hum jahan rahte hain KHwabon ka nagar hai koi
is KHarabe mein na diwar na dar hai koi
ja basa tha jo kisi hijr ke sahra mein kabhi
ai hawao kaho is dil ki KHabar hai koi
surat-e-mauj-e-saba log idhar se guzre
ye to anjaani hawaon ki Dagar hai koi
hijr-e-didar bhi mahrumi-e-didar bhi hijr
jo kabhi KHatm na ho aisa safar hai koi
main ki andar se pighalta hi chala jata hun
mere yaKH-basta badan mein bhi sharar hai koi
ye faza ras nahin dasht-mizajon ke liye
is saman-zar mein patthar hai na sar hai koi
jism aur jaan ka ye aazar ye mahshar 'akbar'
kisi andesha-e-baatin ka asar hai koi
Ghazal
Hum jahan rahte hain KHwabon ka nagar hai koi
Akbar Haidri