hum jahan naghma-o-ahang liye phirte hain
log hathon mein wahan sang liye phirte hain
hum hi is ahd ka meyar-e-taghayyur honge
hum ki har daur mein sau rang liye phirte hain
kya ho shorida-saron ki guzar auqat ki log
dast-e-be-faiz-o-dil-e-tang liye phirte hain
sab tera husn tere husn-e-sahi-qad mein nahin
hum bhi aankhon mein ajab rang liye phirte hain
'shauq' dushwar hai ab moajiza-e-fan ki numud
log ashaar mein farhang liye phirte hain
Ghazal
Hum jahan naghma-o-ahang liye phirte hain
Razi Akhtar Shauq