hum jaana chahte the jidhar bhi nahin gae
aur intiha to ye hai ki ghar bhi nahin gae
wo KHwab jaane kaise KHarabe mein gum hue
is par bhi nahin hain idhar bhi nahin gae
sahib tumhein KHabar hi kahan thi ki hum bhi hain
waise to ab bhi hain koi mar bhi nahin gae
barish hui to hai magar itni ki ye zaruf
KHali nahin rahe hain to bhar bhi nahin gae
'adil' zamin-e-dil se zamane KHayal ke
guzre kuchh is tarah ki guzar bhi nahin gae
Ghazal
Hum jaana chahte the jidhar bhi nahin gae
Zulfiqar Aadil