hum ishq siwa kam hain kisi nam se waqif
na kufr ke mahram hain na islam se waqif
talqin kare arz-e-tamanna hamein us se
mahram nahin hai us but-e-KHud-kaam se waqif
wo daur-e-visal aah kidhar hai ki hum aur wo
duniya mein na the nama-o-paigham se waqif
kya puchho ho hum rawish-e-bagh-o-chaman ko
hum to rahe kunj-e-qafas-o-dam se waqif
shirini-e-bosa se mazaq us ka ho phir talKH
aashiq jo hua lazzat-e-dushnam se waqif
bad-nam na kar ishq ko ja kaam kar apna
hai ahl-e-hawas tu nahin is kaam se waqif
aaghaz-e-mohabbat ke maze ne kiya ghafil
ab tak na the hum us ke bad-anjam se waqif
Ghazal
Hum ishq siwa kam hain kisi nam se waqif
Hasrat Azimabadi