hum ishq mein un makkaron ke be-faeda jalte bhunte hain
matlab jo hamara sun sun kar kahte hain hum uncha sunte hain
hum kuchh na kisi se kahte hain hum kuchh na kisi ki sunte hain
baiThe hue bazm-e-dilkash mein bas dil ke TukDe chunte hain
ulfat ke fasane par donon sar apna apna dhunte hain
hum sunte hain wo kahte hain hum kahte hain wo sunte hain
dil sa bhi koi hamdard nahin hum sa bhi koi dil-soz nahin
hum jalte hain to dil jalta hai dil bhunta hai to hum bhunte hain
taqdir ki gardish se na raha mahfuz hamara daman bhi
chunte the kabhi hum lala-o-gul ab kankar patthar chunte hain
aaj aaenge kal aaenge kal aaenge aaj aaenge
muddat se yahi wo kahte hain muddat se yahi hum sunte hain
aahen na kabhi munh se niklin nale na kabhi aae lab tak
ho zabt-e-tap-e-ulfat ka bura hum dil hi dil mein bhunte hain
murghan-e-chaman bhi meri tarah diwane hain lekin farq ye hai
main dasht mein tinke chunta hun wo bagh mein tinke chunte hain
ho bazm-e-tarab ya bazm-e-alam har majmea mein har mauqea par
hum shama ke shoale ki surat jalte bhi hain sar bhi dhunte hain
gulzar-e-jahan ki nairangi aazar jinhen pahunchati hai
kanTon ko haTa kar daman mein wo phul chaman ke chunte hain
aazar-o-sitam ke shikwon ka jhagDa bhi chuke qissa bhi miTe
tum se jo kahe kuchh baat koi kah do use hum kab sunte hain
ghabra ke jo main un ke dar par deta hun kabhi aawaz unhen
to kahte hain wo Thahro dam lo aate hain ab afshan chunte hain
ai 'nuh' kahan wo josh apna wo taur apne wo baat apni
tufan uThate the pahle ab hasrat se sar dhunte hain
Ghazal
Hum ishq mein un makkaron ke be-faeda jalte bhunte hain
Nooh Narvi