اردو हिंदी
Hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain | Shaahi Shayari
hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain

Ghazal

Hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain

Muhammad Ayyub Zauqi

;

hum hijr ki kali raaton mein jab bistar-e-KHwab pe jate hain
mazi ke tamam masaib ek ek kar ke samne aate hain

phir mustaqbil ke bhayanak chehre par jab nazren paDti hain
is haibatnak tasawwur se hum Darte hain ghabraate hain

ghairon se wo milte rahte hain KHud ja ja kar tanhai mein
mera kya hai zikr bhala mere sae se bhi sharmate hain

mujh mein aur mere raqibon mein hai farq bas itna thoDa sa
un ko surat dikhlate hain mujh ko aankhen dikhlate hain

shayad is kal se murad hua karti hai qayamat ki duri
'zauqi' se wo apne jab bhi kabhi kal ka wada farmate hain