hum hi nahin jo teri talab mein Dere Dere phirte hain
aur bahut se KHak uDae baal bikhere phirte hain
pas agar sarmaya-e-dil hai sae se hoshiyar raho
in rahon mein bhes badal kar chor luTere phirte hain
main ne suna hai sahra par bhi chhinTa to paD jata hai
dekhna ye hai shumi-e-qismat kab din mere phirte hain
rah-e-KHirad se mumkin tha aawaz ko sun kar lauT aate
rah-e-junun par jaane wale kis ke phere phirte hain
tu ne kabhi tanhai mein do chaar ghaDi ye socha hai
tere liye hum Thokaren khate sanjh sawere phirte hain
Ghazal
Hum hi nahin jo teri talab mein Dere Dere phirte hain
Murtaza Birlas