hum hi badlenge rah-o-rasm-e-gulistan yaro
hum se wabasta hai tamir-e-bahaaran yaro
qurbat-e-kakul-o-ruKHsar se ji tang nahin
ek zara chain to de gardish-e-dauran yaro
lakh hum marhala-e-dar-o-rasan se guzre
zindagi se na hue phir bhi gurezan yaro
ek thaka KHwab ki sine mein sulagta hai abhi
ek dabi yaad ki hai nish-e-rag-e-jaan yaro
aamad-e-subh se mayus nahin hain lekin
Das na le tirgi-e-sham-e-ghariban yaro
aur kuchh dur ki thoDi hai rah-e-jaur-o-sitam
aur kuchh der ki TuTa dar-e-zindan yaro
apna dukh ho to 'riyaz' us ka mudawa karte
hain sabhi shoala-ba-jaan chaak-e-gareban yaro
Ghazal
Hum hi badlenge rah-o-rasm-e-gulistan yaro
Ahmad Riyaz