hum har qadam par soch ka ruKH moDte rahe
kitne sanam banate rahe toDte rahe
halchal jo dil mein thi wo na lafzon mein Dhal saki
rishte zaban o dil ke bahut joDte rahe
ubhra kiye shokuk nae dil mein har ghaDi
har dam naya shagufa koi chhoDte rahe
KHud mein the aise dahr se na-ashna rahe
raushan haqiqaton se bhi munh moDte rahe
partaw tha ek jamal ka aaya guzar gaya
saya tha jis ke pichhe sada dauDte rahe
ab tak junun-e-ishq ki hain sar-bulandiyan
nahaq KHirad ke nam pe sar phoDte rahe
Ghazal
Hum har qadam par soch ka ruKH moDte rahe
Khwaja Mahmood-ul-Hasan