hum hain sar-ta-ba-pa tamanna
kaisi ummid kya tamanna
ho kitni hi KHush-gawar phir bhi
hai dil ke liye bala tamanna
dete ho payam-e-arzu tum
jab tark main kar chuka tamanna
duniya ko fareb de rahi hai
jalwa hai sarab ka tamanna
apni manzil pe hum na pahunche
jab tak rahi rahnuma tamanna
mabain-e-nigah-o-jalwa-e-husn
hai ek hijab sa tamanna
uljha raha aarzu mein ghafil
kyun KHud hi na ban gaya tamanna
aawaz to do kise pukarun
tum ho mere dil mein ya tamanna
'simab' maal-e-shauq malum
am-lil-insan-e-ma-tamanna
Ghazal
Hum hain sar-ta-ba-pa tamanna
Seemab Akbarabadi