اردو हिंदी
Hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah | Shaahi Shayari
hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

Ghazal

Hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

Majrooh Sultanpuri

;

hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah
uThti hai har nigah KHaridar ki tarah

is ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jam
hath aa gaya hai daulat-e-bedar ki tarah

wo to kahin hai aur magar dil ke aas-pas
phirti hai koi shai nigah-e-yar ki tarah

sidhi hai rah-e-shauq pe yunhi kahin kahin
KHam ho gai hai gesu-e-dildar ki tarah

be-tesha-e-nazar na chalo rah-e-raftagan
har naqsh-e-pa buland hai diwar ki tarah

ab ja ke kuchh khula hunar-e-naKHun-e-junun
zaKHm-e-jigar hue lab-o-ruKHsar ki tarah

'majruh' likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka nam
hum bhi khaDe hue hain gunahgar ki tarah