hum hain aur zabt-e-fughan hai aaj-kal
sabr ka phir imtihan hai aaj-kal
hum se ruTha hai to phir kis se hai KHush
kis pe aaKHir mehrban hai aaj-kal
dil bhi pazhmurda hai aankhen muzmahil
yaad bas teri jawan hai aaj-kal
ek wade par miTa di zindagi
hum sa diwana kahan hai aaj-kal
ghir gae hum waqt ke tufan mein
ai gham-e-jaanan kahan hai aaj-kal
multafit gulchin hain na sayyaad KHush
barq bhi na-mehrban hai aaj-kal
ek to mushkil wafa ke marhale
aur phir dushman jahan hai aaj-kal
dil shikasta ek 'afshan hi nahin
kaun hai jo naghma-KHwan hai aaj-kal
Ghazal
Hum hain aur zabt-e-fughan hai aaj-kal
Arjumand Bano Afshan