اردو हिंदी
Hum hain aur unki KHushi hai aaj-kal | Shaahi Shayari
hum hain aur unki KHushi hai aaj-kal

Ghazal

Hum hain aur unki KHushi hai aaj-kal

Shakeel Badayuni

;

hum hain aur un ki KHushi hai aaj-kal
zindagi hi zindagi hai aaj-kal

gham ka har aalam naya hai in dinon
dil ki har duniya nai hai aaj-kal

un ka zikr un ki tamanna un ki yaad
waqt kitna qimti hai aaj-kal

chand bhi hai sogwar-e-hijr dost
phiki phiki chandni hai aaj-kal

jal rahi hai dil mein sham-e-arzu
gham-kade mein raushni hai aaj-kal

tu hai aur dariya-dili hai saqiya
main hun aur tishna-labi hai aaj-kal

be-qarari karwaTon par karwaTen
dil ka aalam didani hai aaj-kal

arz-e-gham par muskuraate bhi nahin
barhami si barhami hai aaj-kal

hasil-e-tark-e-mohabbat dekhna
anjuman suni paDi hai aaj-kal

dil mein aur mayusiyon mein ai 'shakil'
ittihad-e-bahami hai aaj-kal