hum garche dil o jaan se bezar hue hain
KHush hain ki tere gham ke saza-war hue hain
uTThe hain tere dar se agar surat-e-diwar
ruKHsat bhi to jun saya-e-diwar hue hain
kya kahiye nazar aati hai kyun KHwab ye duniya
kya jaaniye kis KHwab se bedar hue hain
aankhon mein tere jalwe liye phirte hain hum log
hum log ki ruswa sar-e-bazar hue hain
kuchh dekh ke pite hain lahu ahl-e-tamanna
mai-KHwar kisi baat pe mai-KHwar hue hain
zanjir-e-hawadis ki hai jhankar bahar-gam
kya jurm kiya tha ki giraftar hue hain
izhaar-e-gham-e-zist karen kya ki 'zafar' hum
wo gham hain ki sharminda-e-izhaar hue hain
Ghazal
Hum garche dil o jaan se bezar hue hain
Yusuf Zafar