hum faqiron ka sune gar zikr-e-arra faKHta
apni ku-ku par kare hargiz na gharra faKHta
jal ke KHakistar abhi ho jae tu ek aan mein
gar tere dil mein ho soz-e-ishq zarra faKHta
chashm-e-tar se apni tu sairab rakh shamshad ko
yan daraKHt-e-KHushk par chalta hai arra faKHta
jama-e-KHakistari se tere ye sabit hua
apni darweshi ka hai tujh bhi gharra faKHta
jis par us mah-e-tamami-posh ka saya paDe
bagh mein wo sarw ho rashk-e-maharra faKHta
ishq-e-mizhgan ne bhi to khincha hai dar-e-sarw par
yaad-e-abru mein agar hai zer-e-arra faKHta
murgh-e-bustani ka us ke samne dam band hai
naghma-sanji mein na kar 'ghafil' se gharra faKHta
Ghazal
Hum faqiron ka sune gar zikr-e-arra faKHta
Munawar Khan Ghafil