hum falak ke aadmi the sakinan-e-qarya-e-mahtab the
hum tere hathon mein kaise aa gae hum to baDe nayab the
waqt ne hum ko agar patthar bana Dala hai to hum kya karen
yaad hain wo din bhi hum ko hum bhi jab mehr o wafa ka bab the
zar luTate guzre mausam aane wali raushni lati ruten
chand yaaden chand ummiden hamari zist ke asbab the
KHwab aur tabir hain do intihaon par hamein ye ilm tha
hum jiye jate the phir bhi apne kya faulad ke aasab the
ho saki hain kab KHayalon ki ham-ahangi ki zamin qurbaten
ek hi bistar pe sone walon ke bhi apne apne KHwab the
jo 'riyaz' aata tha hum ko yaad wo ek qarya-e-sarsabz tha
chand raushan taq the kuchh nur mein Dube hue mehrab the
Ghazal
Hum falak ke aadmi the sakinan-e-qarya-e-mahtab the
Riaz Majeed