hum ek KHwab liye mah o sal se guzre
hazaron ranj hazaron malal se guzre
hamein mila jo koi aasman to surat-e-mah
na jaane kitne uruj o zawal se guzre
kabhi gharibon ki aahon mein ki basar hum ne
kabhi amiron ke jah-o-jalal se guzre
wo be-sahaara se kuchh log jaan se bezar
KHabar mili hai ki auj-e-kamal se guzre
ye zindagi bhi ajab rah thi ki hum jis se
qadam baDhate jhijakte niDhaal se guzre
haqiqaten to nigahon ke samne thin magar
hum ek umr fareb-e-KHayal se guzre
hikayat-e-gul-o-bulbul pe KHanda-zan hain wahi
jo sham-e-hijr na subh-e-visal se guzre
gale lagati hai manzil unhen bhi ai 'jazbi'
qadam qadam pe jo KHauf-e-maal se guzre
Ghazal
Hum ek KHwab liye mah o sal se guzre
Moin Ahsan Jazbi