hum duniya se jab tang aaya karte hain
apne sath ek sham manaya karte hain
suraj ke us jaanib basne wale log
aksar hum ko pas bulaya karte hain
yunhi KHud se ruTha karte hain pahle
der talak phir KHud ko manaya karte hain
chup rahte hain us ke samne ja kar hum
yun us ko chakh yaad dilaya karte hain
nindon ke viran jazire par har shab
KHwabon ka ek shahr basaya karte hain
in KHwabon ki qimat hum se puchh ki hum
in ke sahaare umr bitaya karte hain
ab to koi bhi dur nahin to phir 'taimur'
hum KHat kis ke nam likhaya karte hain
Ghazal
Hum duniya se jab tang aaya karte hain
Taimur Hasan