hum doston ke lutf-o-karam dekhte rahe
hote rahe jo dil pe sitam dekhte rahe
KHamosh qahqahon mein bhi gham dekhte rahe
duniya na dekh pai jo hum dekhte rahe
allah-re josh-e-ishq ki uThti jidhar nazar
tum ko hi bas KHuda ki qasam dekhte rahe
nagah paD gai jo kahin un pe ek nazar
ta-der apne aap ko hum dekhte rahe
hum ne to baDh ke chum liya aastan-e-yar
hasrat se hum ko dair o haram dekhte rahe
jo sath mere chal na sake rah-e-shauq mein
wo sirf mere naqsh-e-qadam dekhte rahe
barson ke baad un se mile bhi to is tarah
pahron wo hum ko aur unhen hum dekhte rahe
har sham ek KHwab-e-sahar mein guzar di
har subh ek sham-e-alam dekhte rahe
chalte hi daur-e-jam jo ahl-e-nigah the
kis kis ki aastin thi nam dekhte rahe
sab kuchh wahi tha phir bhi gulistan mein aaj hum
kya shai thi ho gai hai jo kam dekhte rahe
basti mein log aise bhi hain kuchh base hue
aaya jidhar se tir-e-sitam dekhte rahe
aae the apne chahne walon ko dekhne
kitna hai kis mariz mein dam dekhte rahe
Ghazal
Hum doston ke lutf-o-karam dekhte rahe
Naushad Ali