hum dil ki tabahi ka ye saman na karenge
is ghar mein kisi aur ko mehman na karenge
ghabra ke kabhi chaak gireban na karenge
badnam tujhe fasl-e-bahaaran na karenge
mishal ko charagh-e-tah-e-daman na karenge
jo dagh hain sine mein wo pinhan na karenge
Takraenge tere liye har mauj-e-bala se
sahil pe khaDe shikwa-e-tufan na karenge
ai wo ki teri yaad hai taskin-e-dil-o-jaan
haalat hamein kuchh bhi pareshan na karenge
ye dard ki hai teri mohabbat ki amanat
mar jaenge is dard ka darman na karenge
ai dost mohabbat ki nazakat hai nazar mein
hum tujh ko kisi taur pashiman na karenge
dil mein hai teri chah to ai jaan-e-tamanna
hum aur kisi chiz ka arman na karenge
Ghazal
Hum dil ki tabahi ka ye saman na karenge
Kausar Niyazi