hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain
wo baat nazar wale kahan dekh rahe hain
jin hathon mein kal amn ka parcham tha unhi mein
hairat hai ki shamshir-o-sinan dekh rahe hain
kya jaaniye kyun sog ka manzar hai chaman mein
KHamosh zaban ashk rawan dekh rahe hain
aaKHir koi afsos kare bhi to kahan tak
har samt tabahi ka saman dekh rahe hain
aaega dil-o-jaan bhi luTane ka zamana
kuchh aaj bhi ulfat ka nishan dekh rahe hain
mumkin hai KHirad-mandon ko diwana bana de
jo azm mere dil mein jawan dekh rahe hain
un se koi ummid-e-wafa rakhe to kaise
har baat mein jo sud-o-ziyan dekh rahe hain
KHamoshi se hal apne masail nahin honge
kuchh kahiye 'sahar' ahl-e-zaban dekh rahe hain

Ghazal
Hum dil ki nigahon se jahan dekh rahe hain
Sahar Mahmood