hum dil fida karen ki tasadduq-e-jigar karen
jo bhi kahen huzur wahi umr bhar karen
kuchh ab to aap chaara-e-dard-e-jigar karen
mujh par nahin to apne karam par nazar karen
kuchh baat hai labon pe jo mohr-e-sukut hai
karne ko nale sham se hum ta-sahar karen
tul-e-shab-e-firaq se ghabra gaya hai ji
ai kash aap qissa mera muKHtasar karen
le chupke chupke kaam kiye ja gham-e-firaq
duniya ko ghar ki baat se kya ba-KHabar karen
'nadir' yahi hai asal mein meraj-e-bandagi
yaad un ki un ke ishq se bhi pesh-tar karen

Ghazal
Hum dil fida karen ki tasadduq-e-jigar karen
Nadir Shahjahanpuri