hum DhunDte hain bagh mein is gul-ezar ko
jalwa ne jis ke rang diya hai bahaar ko
tum jate ho to jao KHuda ke liye magar
le jao apne sath na sabr-o-qarar ko
hum husn-e-itiqad se samjhe chaDhae phul
gul kar diya jo us ne charagh-e-mazar ko
di kis ne is ko ja ke nawed-e-qudum-e-yar
hai nagawar bagh se jaana bahaar ko
us but mein nur-e-qudrat-e-KHaliq hai mustatar
patthar ne kya chhupaya hai dil mein sharar ko
'mushtaq' gham ko pas na aane de zinhaar
KHush KHush guzar zindagi-e-mustaar ko
Ghazal
Hum DhunDte hain bagh mein is gul-ezar ko
Munshi Bihari Lal Mushtaq Dehlwi