hum dasht se har sham yahi soch ke ghar aae
shayad ki kisi shab tere aane ki KHabar aae
malum kise shahr-e-tilismat ka rasta
kuchh dur mere sath to mahtab-e-safar aae
is phul se chehre ki talab rahat-e-jaan hai
phenke koi patthar bhi to ehsan mere sar aae
ta phir na mujhe tira-nasibi ka gila ho
ye subh ka suraj meri aankhon mein utar aae
ab aage alam aur koi hathon se le le
hum shab ke musafir the chale ta-ba-sahar aae
Ghazal
Hum dasht se har sham yahi soch ke ghar aae
Asghar Gorakhpuri