hum dasht-e-be-karan ki azan ho gae to kya
wahshat mein ab ki bar ziyan ho gae to kya
basi ghuTan se ghar ke andhere na kam hue
hum raat jugnuon ki dukan ho gae to kya
uljhan baDhi to chand KHarabe KHarid lae
saude mein ab ki bar ziyan ho gae to kya
ghar mein hamare qaid raha zindagi ka shor
hum be-zaban nazr-e-fughan ho gae to kya
hum hain hamara shahr hai puKHta makan hai
kuchh maqbare nasib-e-KHizan ho gae to kya
sat-rang aasman ki dhanak hai tumhaare sath
hum daldali zamin yahan ho gae to kya
jab dhup aasman ke hujre mein so gai
aaseb tirgi ke jawan ho gae to kya
patjhaD ne jab se mang sajai hai apni 'rind'
hum suni rahguzar ka nishan ho gae to kya
Ghazal
Hum dasht-e-be-karan ki azan ho gae to kya
P P Srivastava Rind