اردو हिंदी
Hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain | Shaahi Shayari
hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain

Ghazal

Hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain

Moin Ahsan Jazbi

;

hum dahr ke is virane mein jo kuchh bhi nazara karte hain
ashkon ki zaban mein kahte hain aahon mein ishaara karte hain

kya tujh ko pata kya tujh ko KHabar din raat KHayalon mein apne
ai kakul-e-giti hum tujh ko jis tarah sanwara karte hain

ai mauj-e-bala un ko bhi zara do chaar thapeDe halke se
kuchh log abhi tak sahil se tufan ka nazara karte hain

kya jaaniye kab ye pap kaTe kya jaaniye wo din kab aae
jis din ke liye hum ai 'jazbi' kya kuchh na gawara karte hain