hum bura karte ya bhala karte
soch kar koi faisla karte
tum talluq ka pas to rakhte
KHush na karte hamein KHafa karte
dosto kash dukh ke lamhon mein
tum dawa karte hum dua karte
kar di dushwar rahguzar-e-zist
aur kya kaam rahnuma karte
rakhte rishton mein yun tawazun hum
kuchh wafa karte kuchh jafa karte
sar uThate qubuliyat ke baad
sajda-e-shauq yun ada karte
baat thi jab ki but-kade mein 'obaid'
baiTh kar tum KHuda KHuda karte
Ghazal
Hum bura karte ya bhala karte
Obaidur Rahman