hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah
mutriba! chheD kabhi hum ko rababon ki tarah
ek parde mein hain dar-parda bahut se parde
teri yaaden hain pur-asrar hijabon ki tarah
zarf ki baat hai kanTon ki KHalish dil mein liye
log milte hain tar-o-taza gulabon ki tarah
jin ke sinon mein hain mahfuz mohabbat ke KHutut
hum hain kuchh aisi dil-awez kitabon ki tarah
dil tha wo TuTa hua taj-mahal tha kya tha
chandni DhunD rahi hai jise KHwabon ki tarah
pyas ki bund jo chhalke to samundar ban jae
har nafas KHwab dikhata hai sarabon ki tarah
'prem' shaer to shahanshah hua karte hain!
tum magar phirte ho kyun KHana-KHarabon ki tarah
Ghazal
Hum bikhar jaenge naghmon-bhare KHwabon ki tarah
Prem Warbartani