hum bichhaD ke tum se baadal ki tarah rote rahe
thak gae to KHwab ki dahliz par sote rahe
log lahje ka suhana-pan suKHan ki naghmagi
shahr ki aabaadiyon ke shor mein khote rahe
kyun mata-e-dil ke luT jaane ka koi gham kare
shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe
surKHiyan aKHbar ki galiyon mein ghul karti rahin
log apne band kamron mein paDe sote rahe
mahfilon mein hum rafiq-e-raaz-dan samjhe gae
ghar ke aangan mein magar tanhaiyan bote rahe
Ghazal
Hum bichhaD ke tum se baadal ki tarah rote rahe
Zubair Rizvi