hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath
guftugu karte hain ghar ke dar-o-diwar ke sath
hum ne aise bhi faqihan-e-haram dekhe hain
bech dete hain fazilat bhi jo dastar ke sath
hairati hun wo musalman ko musalman karne
sar-e-bazar nikal aate hain do-chaar ke sath
kya zarurat hai unhen manzar-o-pas-manzar ki
jo kahani hi badal dete hain kirdar ke sath
aise KHurshid ki bhi hum ne pazirai ki
jo dam-e-subh nikalta hai shab-e-tar ke sath
chiz dukkan se uTha kar wahin rakh deta hun
rose ye hota hai mujh aise KHaridar ke sath
'mohsin'-ehsan mashaqqat ki bhi had hoti hai
tum to mar jaoge bar-e-gham-e-dil-dar ke sath
Ghazal
Hum bhi zinda hain ajab kawish-e-izhaar ke sath
Mohsin Ehsan