hum bhi piyen tumhein bhi pilaen tamam raat
jagen tamam raat jagaen tamam raat
un ki jafaen yaad dilaen tamam raat
wo din bhi ho ki un ko sataen tamam raat
zahid jo apne roze se thoDa sawab de
mai-kash use sharab pilaen tamam raat
ai qais be-qarar hai kuchh kohkan ki ruh
aati hain be-sutun se sadaen tamam raat
ta subh mai-kade se rahi botalon ki mang
barsen kahan ye kali ghaTaen tamam raat
KHalwat hai be-hijab hain wo jal rahi hai shama
achchha hai us ko aur jalaen tamam raat
shab-bhar rahe kisi se ham-aghoshiyon ke lutf
hoti rahen qubul duaen tamam raat
dabe rahi paron se nasheman ko raat bhar
kya kya chali hain tez hawaen tamam raat
kaTa hai sanp ne hamein sone bhi do 'riyaz'
un gesuon ki li hain balaen tamam raat
Ghazal
Hum bhi piyen tumhein bhi pilaen tamam raat
Riyaz Khairabadi